Monday, September 26, 2011

tanhaai ( jaroori hai)

jab me akela hota hoon, ek tanhaai ka alam hota hai.
yaadon ka saayaa  hota hai, bite palo ka pahraa hota hai.
ek dhundh aakhon pe chaati hai, hothon pe muskaan  hoti hai.
jindagi ek baar jine ki choti si khwahish  hoti hai,
jab me akela hota hoon, dil me ek aahat si hoti hai,
yadon ko fir pal banaane ek  jaroorat si lagti hai.

ek pal jo bita abhi yahi , us pal  ek yaad ban jata hai.
jo jiya tha maine abhi yahi, dil me kaha ghar kar jata hai,
jab me akela hota hoon  na jane fir kaha se uthkar aa jata hai,
kyu meri tanhaai me wo pal ek pyara sa dost ban jata hai.
sunta rahta hoon  use yuhi , wo mujhe sab batata jata hai.
chupke se meri yaddon me , wo har pal sanjota rahta hai.
jab me akela hota hoon , wo apne hone ki chupke se aahat deta hai.
ye pal wo pal mera har pal na jane uska hi lagtaa hai.

jab  me tanhaa hota hoon, ye man ek kitaab kholta hai
jo dil me chupi milti hai , yaddon ki shyaahi hoti hai
har kissa meri kahani ka, na jane kon likhtaa jata hai.
mein  panne palat taa jata hoon, har kisse pe nazar gadaata hoon.
kabhi palko pe aansoo chalakte hai, kabhi hoton pe bhini muskaan si hoti hai
   jab me akela hota hoon , ye adhoori kitaab hi padataa hoon
   roj wo kuch naya jodtaa hoon, roj kuch pooranaa me  fir padtaa hoon.
   isi bahane tanhaii me ye kitaab poori hone ka intezaar karta hoon.

Na jane ye pal kab dil ka hissa ban jate hai,
kabhi kitaab ka panna sa , kabhi ek dost nazaar aate hai.
na jane kon , kaha har pal mera kissa likhta jata hai,
aur meri tanhaai me , chupke se samne laa detaa hai.
 na jaane kab ye dil mera,  har pal ka saboot ban jata hai
na jane kyu meri tanhaai me, ye man gawaahi deta hai.
na jaane kab ye pal meri yaadon me bas jatein  hai.
na jane kyu tanhaai me , mein kabhi tanhaa nahi rah pata hoon.

jab bhi me akela hotaa  hoon, tanhaai ka saya hota hai,
kuch bitayein palo ka yaraana hota hai,
ek mahfil humari sajti hai, kuch kisse wo bhi kahta hai
kuch kisse me bhi suntaa hoon.
jindagi fir se jine ka ek aasan rastaa mil jata hai.
isliye me kuch pal tanhaa rahtaa hoon........... :)




























 

7 comments: